जलसे की निजामत के लिए शायरी हिंदी में लिखी हुई - Jalse Ki Nizamat ki shayari Hindi
ख़ुदा के नाम से जलसे का हम आग़ाज़ करते हैं
वही मालिक है हम उसके करम पर नाज़ करते हैं
Khuda Ke Naam Se Jalse Ka Ham Aaghaaj Karte Hain
Vahi Malik Hai Ham Uske Karm Par Naaz Karte Hain
कुरआन की तिलावत से आग़ाज़ हो महफ़िल का
इस नूर से पा जाएं हम रास्ता मंज़िल का
Quran Ki Tilawat Se Aghaz Ho Mahfil Ka
Is Noor Se Paa Jaye Ham Rasta Manzil Ka
महफ़िल की इब्तिदा है कुरान ए मजीद से
रहमत के फूल बरसेंगे ज़िक्र ए सईद से
Mahfil Ki Ibtida Hai Quraan e Majid Se Rahamat Ke Phool Barsenge Zikr e Sayeed Se
जगमगा उठी फिज़ा नूर ख़ुदा का चमका
पढ़ने कुरआन जब अतफ़ाल ए ख़ुश इल्हान आएं
Jagmaga Uthi Fiza Nur Khuda Ka Chamka Padhne Quran Jab Atfale Khush Alhaan Aaye
अहले मंतइक़ सर ब सजदा रह गए
पढ़ लिया जब फ़लसफ़ा कुर्आन का
Ahle Mantiq Sar Ba Sajda Rah Gaye
Padh Liya Jab Falsafa Quran Ka
जलसे की निज़ामत के लिए शायरी
सहरा में जुगनुओं में बियाबान में पढ़ो
मीनार गिर पड़े तो मैदान में पढ़ो
ये बेख़बर नजूमी तुम्हें क्या बताएंगे
कल होने वाला क्या है कुरान में पढ़ो
Sehra Mein Juganuon Mein Byaban Mein Padho
Minar Gir Pade To Maidan Mein Padho
Ye Bekhabar Najumi Tumhen Kya Bataenge
Kal Hone Wala Kya Hai Quran Mein Padho
ठिकाना ही नहीं इस बज़्म ए इर्फ़ां की रवानी का
कि जो भी लफ़्ज़ है हर एक है गौहर मआनी का
Thikana Hi Nahin Is Bazam e Irfan Ki Ravani Ka
Ki Jo Bhi Lafj Hai Har Ek Hai Gauhar Maani Ka
ग़ार ए हुरा से निकली थी अरसा गुज़र गया
अब भी है खूब रोशन कुरान की शोअआ
Ghaar e Hura Se Nikli Thi Arsa Guzar Gaya
Ab Bhi Hai Khoob Raushan Quraan Ki Shua
Nizamat Ki Shayari Hindi
आफ़ाक़ में फैलेगी कब तक न महक तेरी
घर-घर लिए फिरता है पैग़ाम तेरा
Afaq Mein Failegi Kab Tak Na Mahak Teri
Ghar Ghar Liye Firta Hai Paigam Tera
तितली का रक़्स गुल की अदा तेरी हम्द है
मोजे खेराम ए बाद सबा तेरी हम्द है
मौजें हैं बे सकूं कहीं गिरदाब वजद में
दरिया की बेकरार अदा तेरी हम्द है
Titli Ka Raks Gul Ki Ada Teri Hamd Hai
Mauje Kheram e Bad e Saba Teri Hamd Hai
Maujen Hain Be Sukun Kahin Girdaab Vajad Mein
Dariya Ki Bekarar Ada Teri Hamd Hai
निजामत के लिए हम्द के शेर Hamd Ke Sher
तू करीम है तू रहीम है तेरी ज़ात सबसे अज़ीम है
नहीं कोई तुझसा है दूसरा तू ख़बीर है तू अलीम है
ये लताफ़तें ये इनायतें ये तेरे करम की वज़ाहतें
जो चमन में है तू नसीम है जो गुलों में है तू शमीम है
तू है राज जात ओ सिफ़ात का तू है रंग बज़्म ए हयात का
कहीं शान ख़ल्क़ ए मुहम्मदी कहीं हुस्न ए नतक़ ए कलीम है
Tu Karim Hai Tu Rahim Hai Teri Jaat Sabse Azeem Hai
Nahin Koi Tujh Sa Hai Dusra Tu Khabir Hai Tu Aleem Hai
Ye Latafaten Ye Inayaten Ye Tere Karam Ki Vajahten
Jo Chaman Mein Hai Tu Nasim Hai Jo Gulon Mein Hai To Shamim Hai
Tu Hai Raj Jat o Sefat Ka Tu Hai Rang Bazm e Hayat Ka
Kahin Shane Khalq e Mohammadi Kahin Husn e Nataq e Kalim Hai
चल कलम अब हम्द ए रब मकसूद है
तेरा मेरा सबका जो मकबूल है
है वही शाहिद वही मशहूद है
नूर उसका हर जगह मौजूद है
Chal Kalam Ab Hamd e Rab Maqsud Hai
Tera Mera Sab Ka Jo Maqud Hai
Hai Vahi Shahid Vahi Mashhud Hai
Nur Uska Har Jagah Maujud Hai
हर एक काम से पहले ये हमने काम किया
खुदा की हम्द की, बादहू कलाम किया
Har EK Kam Se Pahle Yah Humne Kam Kiya
Khuda Ki Hamd Ki Badhu Kalam Kiya
Nizamat Ke ashar lyrics
Nizamat ki shayari pdf
Naat ke sher
New nizamat lyrics
Naat Sharif sher
Urdu nizamat
Islamic Nizamat shayari
Nizamat Ke Sher photo
Nizamat Ke sher lyrics
Nizamat Ke Sher Hindi Mein
अजब फ़ैज़ है मेरी नबी की मुहब्बत का इक़बाल
दुरूद उस पे पढ़ता हूं रहमतें मुझ पर बरसती है
Ajab Faiz Hai Meri Nabi Ki Muhabbat Ka Iqbal
Durood Us Par Padhta Hoo Rahmate Mujh Par Barasti Hai
दुरूद पढ़ने से सवाब मिलता है
सलाम पढ़ने से जवाब मिलता है
Durood Padhne Se Sawab Milta Hai
Salam Padhne Se Jawab Milta Hai
है क़ौले मुहम्मद क़ौले खुदे फ़रमान का बदला जाएगा
बदलेगा लाख जमाना मगर कुरान ना बदला जाएगा
दिल्ली में मिनिस्टर बदलते हैं रात दिन
लेकिन अजमेर की धरती का सुल्तान न बदला जाएगा
Hai Qoule Muhammad Qoule Khude Farman Ka Badla Jayga
Badlega Laakh Zamaana Magar Quran Na Badla jayga
Delhi Me Ministar Badalte Hai Raat Din
Lekin Ajmer Ki Dharti Ka Sultan Na Badla Jayga
सुनाओ नगमा ए क़ुरां कि हम बेदार हो जायें
अँधेरो से निकल कर साहिबे अनवार हो जायें
Sunao Nagma e Quraan Ki Ham Bedaar Ho Jaayen
Andhero Se Nikal Kar Sahibe Anwar Ho Jaayen
हो लाख ज़ुल्म ये नेमत बदल नहीं सकती
दिलो से उनकी मुहब्बत निकल नहीं सकती
तुम्हारी नसल बदल सकती है खुदा की कसम
मगर कुरान की आयत नहीं बदल सकती
Ho Laakh Zulm Ye Nemat Badal Nhi Sakti
Dilo Se Unki Muhabbat Nikal Nhi Sakti
Tumhari Nasl Badal Sakti Hai Khuda Ki Kasam
Magar Quran Ki Aayat Nhi Badal Sakti
Nizamat ke sher lyrics Hindi
निज़ामत की शायरी हज़रत अली
मक़ाम ए ख़ुशबू सबा से पूछो
कली का ज़ौक ए हया से पूछो
अली का रुतबा घाटने वालो
अली का रुतबा खुदा से पूछो
Nizamat Ki Shayari Hazrat Ali
Maqaam e Khushbu Saba Se Pucho
kali Ka Zouq e Haya Se Pucho
Ali Ka Rutba Ghatane Walo
Ali Ka Rutba Khuda Se Pucho
अली अली है अली जिक्र हर दीवाने का
नहीं ये जिक्र दीवानों के भूल जाने का
वली भी सारे मलिका भी उम्मति भी तमाम
तवाफ़ करते हैं हैदर के जनम खाने का
Ali Ali Hai Ali Zikr Har Diwane Ka
Nahi Ye Zikr Diwano Ke Bhul Jaane Ka
Wali Bhi Saare Malaika Bhi Ummati Bhi Tamam
Tawaaf Karte Hai Haidar Ke Janam Khane Ka
अली का लाडले पयंबर के चैन जिंदाबाद
जनाब ए फातिमा ज़हरा के नूरे ऐन ज़िंदाबाद
है जिसकी रगो में पाक लहू सिर्फ वही पुकारेगा
हर इक कह नहीं सकता हुसैन ज़िंदाबाद
Ali Ka Ladle Payamabbar Ke Chain Zinda Bad
Janaab e Fatima Zahra Ke Noore Ain Zinda Bad
Hai Jiski Rago Me Paak Lahu Sirf Wahi Pukaarega
Har Ik Keh Nhi Sakta Hussain Zinda Bad
लहद में तज़किरा ए बू तुराब कर दूंगा
सवाल कोई भी ला जवाब कर दूंगा
ऐ फरिश्तों मेरे गुनाह ज़्यादा हैं मगर
अली को आने दो सारा हिसाब कर दूंगा
Lahad Me Tazkira e Bu Turaab Kar Dunga
Sawal Koi Bhi La Jawaab Kar Dunga
Aye Farishton Mere Gunaah Zayada Hain Magar
Ali Ko Aane Do Saara Hisaab Kar Dunga
हम अली के दीवाने हैं हर अदा निराली हैं
या अली मदद कहकर हर बला टाली है
और कान खोल कर सुनलो ऐ यज़ीद की नसलो
हर बला तुम्हारी है कर्बला हमारी है
Ham Ali Ke Diwane Hai Har Ada Nirali Hai
Ya Ali Madad Kehkar Har Bla Taali Hai
Aur Kaan Khol Kar Sunlo Aye Yazeed Ki Naslo
Har Bala Tumhari Hai Karbala Hamari Hai
फौलाद सा दिल पत्थर सा जिगर सब पारा पारा होता है
जब नाम अली का लेते हैं मैदान हमारा होता है
Folaad Sa Dil Patthar Sa Jigar Sab Para Para Hota Hai
Jab Naam Ali Ka Lete Hai Maidan Hamara Hota Hai
पहले मैं मुश्किल में था अब मुश्किल मुश्किल में है
क्या ख़ूब ये नज़ारा बदला या अली कहने के बाद
मुझको राह ए जीस्त में चलना सिखाने के लिए
माँ ने गोदी से उतारा या अली कहने के बाद
Pehle Main Mushkil Me Tha Ab Mushkil Mushkil Mein Hai
Kya Khoob Ye Nazara Badla Ya Ali Kehne Ke Bad
Mujhko Raah E Zeest Me Chalna Sikhane Ke Liye
Maa Ne Godi Se Utara Ya Ali Kehne Ke Bad
बरोज़ ए हश्र हर इक बंदे का इश्क हैदर में टेस्ट होगा
जो लेगा उसमें ज़ियादा नंबर ख़ुदा की नज़र में सबसे बेस्ट होगा
मुनाफिकों को सजा मिलेगी अली का दुश्मन अरेस्ट होगा
जो होगा दिल गुलाम ए हैदर खुदा की नजरो में चीफ़ गेस्ट होगा
Baroz e Hashr Har Ik Bande Ka Ishq Haidar Mein Test Hoga
Jo Lega Usme Ziyada Number Khuda Ki Nazro Mein Best Hoga
Munafiq Ko Saza Milegi Ali Ka Dushman Arrest Hoga
Jo Hoga Dil Gulam E Haidar Khuda Ki Nazro Me Cheef Gest Hoga
कोई साथ ना दे मगर चलना मुझे आता है
हर आग से वाकिफ हूं जलना मुझे आता है
Koi Sath Na De Magar Chalna Mujhe Aata Hai
Har Aag Se Waqif Hoo Jalna Mujhe Aata Hai
तूफ़ान आ रहा था मगर ढेर हो गया
मैने नाम अली का लिया तो ज़ेर हो गया
और तासीर ऐसी है मौला अली के नाम की
जिसके लिए भी खुदा की कसम शेर हो गया
Tufaan Aa Rha Tha Magar Dhair Ho Gaya
Main Ne Naam Ali Ka Liya To Zair Ho Gaya
Aur Taseer Aisi Hai Moula Ali Ke Naam Ki
Jisne Bhi Liye Khuda Ki Kasam Sher Ho Gaya
नाम ए अली पे मुस्कुराता हूं
पाक है मेरा लहू इज़हार होना चाहिए
दौलत ए हुब्बे अली हर किसी को मिलती नहीं
पहले माँ को साहिब ए किरदार होना चाहिए
Naam e Ali Pe Muskura Padhta Hoon
Paak Hai Mera Lahu Izhar Hona Chahiye
Doulat e Hubbe Ali Har Kisi Ko Milti Nhi
Pehle Maa Ko Sahib e Kirdar Hona Chahiye
मुनाफिकों को मैं यूं ही सजा देता हूं
गली गली अली की सदाय देता हूँ
हुब्बे अली के नाम से जब जब ख़ुशी मिली मुझपर
मैं अपनी माँ को हज़ारों दुआएँ देता हूँ
Munafiq Ko Me Yun Hi Sazaaen Deta Hoon
Gali Gali Ali Ki Sadaen Deta Hoon
Hubbe Ali Ke Naam Se Jab Jab Khushi Mili Mujh Par
Main Apni Maa Ko Hazaaro Duaaen Deta Hoon
हो अली के नाम से तूफ़ान ख़ौफ़ खाते हैं
जिन्हे यकीन ना हो डूब जाता है
फ़रिश्ते क़ब्र में कुछ और पूछता ही नहीं
ज़बा पर नाम ए अली सुनकर ही लौट जाते हैं
Ho Ali Ke Naam Se Toofaan Khouf Khaate Hain
Jinhe Yaqeen Na Ho Doob Jaate Hain
Farishte Qabr Mein Kuch Aur Puchte Hi Nahi
Zabaa Par Naam r Ali Sunkar Hi Lout Jaate Hain
अली का इश्क मुकद्दर सवार देता है
अली का बुग्ज़ चेहरा बिगाड़ देता है
अली के ज़िक्र को अदना समझने वालो
अली इक हाथ से ख़ैबर उखाड़ देता है
Ali Ka Ishq Muqaddar Sawar Deta Hai
Ali Ka Bugz Chehra Bigaad Deta Hai
Ali Ke Zikr Ko Adna Samajhne Walo
Ali Ik Hath Se Khaibar Ukhaad Deta Hai
गुलों के जिस्म में खुशबू उतार देता है
जलाल ए हुस्न तो परवरदिगार देता है
वह टांक टांक के रोशन तबस्सुमों के गुलाब
ग़म ए हयात की जुल्फें संवार देता है
वो लफ्ज़ लफ़्ज़ को देता है मोतियों की चमक
वह काविशात ए कलम को निखार देता है
वही तो देता है लहजों को रंग ए पैराहन
वो हर्फ़ हर्फ़ को जलवा हज़ार देता है
***
Islamic Nizamat shayari
Gulon ke jism mein khushboo utaar deta hai
Jalal-e-husn to Parvardigaar deta hai
Woh taank taank ke roshan tabassumon ke gulaab
Gham-e-hayaat ki zulfen sanvaar deta hai
Woh lafz lafz ko deta hai motiyon ki chamak
Woh kaavishaat-e-kalam ko nikhaar deta hai
Wahi to deta hai lehjon ko rang-e-pairaahan
Woh harf harf ko jalwa hazaar deta hai
ज़मीं का चांद भी वो, मश्क भी, गुलाब भी वो
जो बर्फ हो ये लहू, शहर-ए-आफ़ताब भी वो
उसी के रंग मेरी हसरतों के क़ालिब में
बदन रुतों में महकता ख़िताब भी हो
Nizamat Ke Ashar Lyrics
Zameen ka chaand bhi wo, mashk bhi, gulaab bhi wo
Jo barf ho ye lahoo, shehr-e-aftaab bhi wo
Ussi ke rang meri hasraton ke qaalib mein
Badan ruton mein mehakta khitaab bhi wo
सफ़ह-ए-फ़िक्र को तहरीर अता करता है
लफ़्ज़ हर लफ़्ज़ को तफ़्सीर अता करता है
सिर्फ दिन को ही मुनव्वर नहीं रखा उस ने
शब की ज़ुल्मत में भी तनवीर अता करता है
उसके इकराम-ओ-नवाज़िश की कोई हद ही नहीं
काह को कोह की तौक़ीर अता करता है
Safah-e-fikr ko tehreer ata karta hai
Lafz har lafz ko tafseer ata karta hai
Sirf din ko hi munawwar nahi rakha us ne
Shab ki zulmat mein bhi tanveer ata karta hai
Uske ikram-o-nawazish ki koi had hi nahi
Kaah ko koh ki tauqeer ata karta hai
और पढ़ें 👇
और पढ़ें 👇
0 टिप्पणियाँ