Ghazal In Roman English : Asangani Mushtaq Rafeeqi
Ghazal : Asangani Mushtaq Rafeeqi
Mujh ko laaya hai bahut souch kay laanay wala
Mai teray shehar say you(n) hi nahi jaanay wala
Mai jo kehta hou(n), faqat boul na samjhou uss ko
Fun bhi aata hai mujhay kar kay dikhanay wala
Koyi kehta hai meray sher may angaray hain
Koyi likhta hai mujhay aag bujhanay wala
Yasiyat hi tumhi hath aayegi mujh say mil kar
Mujh ko aata nahi andaz lubhanay wala
Waeezoun kay to barray pehray lagay thay uss par
Aagaya shehar may kyou(n) kar a hansanay wala
Kkyou(n) mujhay bhool gaya, iss pay mujhay hairat hai
Chand tarou(n) say meri dunya sajanay wala
Mujh ko kya kya na rahea(n) uss say ummiday(n) , laikin
Khali hath aaya teray shehar say aanay wala
Kis qadar bhool bhulaiyaa(n) hi teray rastay may
Khou gaya raah may khud raah batanay wala
Khwab daykhou na Rafeeqi kay yaha(n) basti may
Koyi Yousuf nahi taabeer batanay wala
Urdu Ghazal in English by Asangni Mushtaq Rafiqi
Ghazal
Asangani Mushtaq Rafeeqi
Meray paighaam say kha’if, meray har kaam say kha’if
Hai kyou(n) is shehar ka har fard mayray naam say kha’if
Mujhay tayri jihalat say nahi hai koyi darr laikin
Faqeeh-e-shehar mai hou(n) bas teray aouhaam say kha’if
Ussay maloum hai kya hai teri auqaat basti may
Ammer-e-shehar kya houga teray ilzam say kha’if
Teray a hoor a jannat mubarak ho tujhay wa’iz
Tujhay hai fikr douzaq ki mai hou(n) aaram say kha’if
Samjhta hai o raftaar-e-zamana is liye shayad
Nahi houta kabhi o gardish-e-ai’yam say kha’if
Mujhay dushwariyou(n) say housla milta hai jeenay ka
Zara bhi mai nahi houta kabhi aalam say kha’if
Musalma(n) ho kay bhi islam par aamil nahi hou(n) mai
A dunya phir bhi rehti hai meray islam say kha’if
Salasal ko jo tamgha, daar ko inaam kehtay hain
Nahi houtay Rafeeqi o kisi anjam say kha’if
Tumare Sar Ki Turkey Topiyan Kya Hui Basha?
A nazm by Asangani Mustaq, Vaniyambadi
Kya huien Basha
Asangani Mushtaq Rafeeqi, Vaniyambadi
Tumhare sar ki turki topiyan woh kya huien Basha
Barray roumal, ujlee lungiyan woh kya huien Basha
Chabotre jo kabhi pehchan thay acchay makanoun ke
Barray lougoun ki ujlee darhiyan woh kya huien Basha
Woh ujlee chaadrein aur kalay burqae seedhay saaday se
Aur unn mein simattee simattee bibiyan woh kya huien Basha
Barroun se baat karte waqt sar ko dhaanp layte theen
Haya paiker, misali betiyan woh kya huien Basha
Barouse eid jana eid gaah ko bail gaari mein
Chawani aur Athani eidiyan woh kya huien Basha
Woh matti ki paleton khaboun mein milaad ki dawat
Mehaktay dalchay biryaniyan woh kya huien Basha
Siyasat doghla pan sab ke lahjoun se jhalakta hai
Shehar ki bholi bhaali hastiyan woh kya huien Basha
Jisay dekho laga hai chaploosi mein ameeron ki
Hamiyat, hauslay, baybakiyan woh kya huien Basha
Samjhti theen parhanay ko ibadat se bhi afzal jo
Rafeeqi seedhi saadi hastiyan woh kya huien Basha
0 टिप्पणियाँ