Ticker

6/recent/ticker-posts

Tehzeeb Hafi Poetry-Tehzeeb Hafi Love Shayari

Tehzeeb Hafi Best Poetry-Hindi English

You Are Going To Read Best Poetry Of Tehzeeb Hafi. In This Post We Including The Most Popular Love Shayari Of Tehzeeb Hafi Like, Tera Chup Rahna Mere Zehn Mein Kya Baith Gaya, Apna Ladna Bhi Muhabbat Hai Tumhen Ilm Nahin, Kise Khabar Hai Ki Umr Bas Us Pe Ghaur Karne Men Kat Rahi Hai. So Let's Start Reading This Beautiful Poetry.

Tehzeeb Hafi Poetry-hindi urdu sahitya sansar

Tehzeeb Hafi Poetry-Tera Chup Rahna Mere Zehn Mein

Tehzeeb Hafi Poetry
''Tera chup rahna mere zehn mein kya baith gaya 
Itni aawazen tujhe din ki gala baith gaya 
yun nahin hai ki faqat main hi use chaahta huun 
Jo bhi us ped ki chhanw mein gaya baith gaya 
itna meetha tha who ghusse bhara lahja, mat puchh 
Us ne jis-jis ko bhi jaane ko kaha, baith gaya 
Apna ladna bhi muhabbat hai tumhen ilm nahin 
Cheekhti tum rahi, Aur mera gala baith gaya 
Us ki marzi wo jise paas bitha le apne, 
Is pe kya ladna ! falan meri jagah baith gaya
 
baat dariyaon ki, suraj ki, na teri hai yahan,
Do qadam jo bhi mere saath chala baith gaya 
Bazm-e-janan mein nashisten nahin hoti makhsus 
Jo bhi ik baar jahan baith gaya, baith gaya

Tehzeeb Hafi-तेरा चुप रहना मेरे ज़ेहन में क्या बैठ गया

तेरा चुप रहना मेरे ज़ेहन में क्या बैठ गया
इतनी आवाज़ें तुझे दीं कि गला बैठ गया

यूँ नहीं है कि फ़क़त मैं ही उसे चाहता हूँ,
जो भी उस पेड़ की छाँव में गया बैठ गयाा।

इतना मीठा था वो ग़ुस्से भरा लहजा मत पूछ,
उस ने जिस जिस को भी जाने का कहा, बैठ गया।

अपना लड़ना भी मुहब्बत है तुम्हें इल्म नहीं,
चीख़ती तुम रही और मेरा गला बैठ गया।

उस की मर्ज़ी वो जिसे पास बिठा ले अपने,
इस पे क्या लड़ना फलाँ मेरी जगह बैठ गया।

बात दरियाओं की, सूरज की न, तेरी है यहाँ,
दो क़दम जो भी मिरे साथ चला बैठ गयाा।

बज़्म-ए-जानाँ में नशिस्तें नहीं होतीं मख़्सूस,
जो भी इक बार जहाँ बैठ गया बैठ गया।

Tehzeeb Hafi Poetry-kise khabar hai ki umr bas us

Kise khabar hai ki umr bus us pe gaur karne men kat rahi hai 
Ki ye udasi hamare jismon se kis khushi men lipat rahi hai 
Ajib dukh hai ham us ke ho kar bhi us ko chhune se dar rahe hain 
Ajib dukh hai hamare hisse ki aag auron men bat rahi hai 
Main usko har roz bus yehi ek jhuut sunne ko phone karta 
Suno yahan koi masala hai tumhari aawaz kat rahi hai 
Mujh aise pedon ke sukhne aur sabz hone se kya kisi ko 
Ye bel shayad kisi musibat men hai jo mujh se lipat rahi hai 
Ye waqt aane pe apni aulad, apne ajdad bech degi 
Jo fauj dushman ko apna salar, girwi rakh kar palat rahi hai 
So is taalluq mein jo ghalat-fahmiyan thiin ab door ho rahi hain 
Ruki hui gadiyon ke chalne ka waqt hai dhundh chhat rahi hai''

Tehzeeb Hafi-किसे ख़बर है कि उम्र बस उस पे ग़ौर करने में कट

किसे ख़बर है कि उम्र बस उस पे ग़ौर करने में कट रही है
कि ये उदासी हमारे जिस्मों से किस ख़ुशी में लिपट रही है

अजीब दुख है, हम उस के हो कर भी उस को छूने से डर रहे हैं,
अजीब दुख है हमारे हिस्से की आग औरों में बट रही है।

मैं उस को हर रोज़ बस यही एक झूट सुनने को फ़ोन करता
सुनो यहाँ कोई मसअला है तुम्हारी आवाज़ कट रही है।

मुझ ऐसे पेड़ों के सूखने और सब्ज़ होने से क्या किसी को,
ये बेल शायद किसी मुसीबत में है जो मुझ से लिपट रही है।

ये वक़्त आने पे अपनी औलाद, अपने अज्दाद बेच देगी,
जो फ़ौज दुश्मन को अपना सालार गिरवी रख कर पलट रही है।

सो इस तअल्लुक़ में जो ग़लत-फ़हमियाँ थीं अब दूर हो रही हैं, 
रुकी हुई गाड़ियों के चलने का वक़्त है धुंध छट रही है।

Tehzeeb Hafi

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ